Thursday 20 April 2017

Safed dudh ka kala khel

         



Garmi ne dastak de di hai. Garmi ke sath bazar mein dudh ki killat shuru ho jati hai.Dairy companiyon par dudh utpadan ke sath sath dudh utpad ka bhi dabab badh jata hai. Garmi mein hara chara ki kami  aur vatavaran garam ho Jane ke karan gay, bhains kam dudh dene lagati hai, jabaki dahi,lassi aadi ke rup mein mang  badh jati hai, jisaka fayada khatalwale ya dudh aapurtikarta log milawat kar uthate hain.Dairywalon ke pas utpadan simit hi hota hai.Aise  samay mein pani aur powder milane ka dhandha badh jati hai.
        Dudh mein milawat ka paramparik tarika pani milane ka hai.Pani milane se dudh sirf patala nahin hota  balki paushtikata mein bhi kami aa jati hai.Dudh ki kami ke karan synthetic dudh ki aapurti ka khatara mandrata rahata hai.Durbhagy ki synthetic dudh ki janch ki koi vyvastha nahin hai.
         Aam taur par shaharon mein log khud pashupalan nahin karate, natiza dudh aapurtikarta hamein kis prakar ka dudh aapurti kar raha hai, usaki quality kya hai, isaki taraf koi dhyan nahin deta. Natizatan rasaynik ya synthetic dudh ki aapurti joron se hoti hai. Gaon mein 83 pratishat dudh quality aur naap mein manak ke anurup nahin note. Paani milane aur naap kam dena aam baat hai.

Synthetic dudh se hai cancer ka khatara

Urea, Castic Soda, Refined Tel, Detergent Powder tatha safed rang ke paint ka paryog kar nakali, rasaynik athwa synthetic dudh taiyar kiya jata hai.Is prakar ke dudh ke dewan se food poisoning,pet ki bimari se lekar cancer take ho sakata hai.

Aise karein milawat ki pehchan

Dudh mein milawat ki pehchan karana a as an hai.Those se dudh mein barabar mantra mein pani milayein. Usme jhag aaye to samajh lein isme detergent ki milawat hai.Synthetic dudh ki pehchan karane ke lite dudh ko hatheliyon ke  bich ragade. Agar Sabin jaisa large to dudh synthetic ho sakata hai. Synthetic dudh garam karane par halka pila ho jata hai.

Kanoon mein hai karwai ka pravdhan

Asurakshit utpad Paye Jane par Kara was aur sub standard product Paye Jane par panch lakh tak jurmana lagane ka pravdhan hai.

             

No comments:

Post a Comment